How to root android mobile top 7 method 2018

How to root android mobile top 7 method 

Hello friends kesy ho ap sab mai aaj apko batunga ki kaise bina computer ke Android Mobile ko root kar sakte hai. Bahut se android user mobile ko root karne se darte hai, Unhe lagta hai mobile root karne se unke mobile ki warranty khatam ho jayegi. Dosto mene apni life me bohut sare mobiles ko root kiya hai un me aj tak koi problem nahi aya hai. Root karne se apke mobile me bahut sare features badh jate hai.Mai apko kuch aise apps ke bare me batunga jisse app asani se apne android mobile ko root kar sakte hain.

Framroot,z4root,kingroot,towelroot etc. Ye sare apps bina computer ke apke mobile ko root kar sakta hai. Android mobile ko root karne ke baad kya kare.

Aaj kal bahut se log alag alag type ke apps use kar rahe hai,Us apps ko use karne ke liye phone ka root hona bahut jaruri hai. Kuch android user ke pas PC nahi hota hai. Islye mai aaj apko ye post se batunga ki kaise bina computer ke aap Apne android mobile ko root kar sakte hai.

Mobile root hota kya hai.
Root ek experimental tarika hai,Jisse aap apne android smartphone ko jaisa chahe use kar sakte hai.Ab mai apko root karne ka advantage ( fayda ) or disadvantage (nuksan) bata  hu.

Android Mobile ko Root karne ke Advantage

• Aap apni mrzi se mobile me  changes kar sakte hai.

• Mobile ka internal memory or RAM bhi badha sakte hai.

• Root karne ke baad aap kisi bhi apps ko phone memory se memory card me move kar sakte hai.

• Mobile Ka CPU performace acha ho jayega.

• Battery life bhi achi ho jayegi.

• Apke phone me pahle se jo apps hai usye bhi uninstall kar sakte hai.

Android Device ko Root karne ke disadvantage

• Apka phone Dead ho sakta hai,matlb ki kabhi bhi on nahi hoga.

• Ye ek illegal method hai ,Isi wajah se apke phone ki warranty khatam kar di jayegi.Islye root karne se pahle soch le.

• Ek bar root karne ke baad aap apne mobile ko OTA process se updates nahi kar sakte hai.Agar apka rooted hai toh ZIP file ka use karke apne mob ko Updates kare.

• Root karne ke bad Google wallet app install nahi hoga.

How to root android mobile top 7 method

Android phone ko bina pC ke root karne se pahle kuch bate zaruri hai:

• Apke mobile ki battery minimum 60% charge honi chahye

• Apke phone me ‘unkown source’ enable hona chahye (Setting>>Security>>Unkown source)

• Apne mobile ka sms contact or app backup bana le.

Konse Apps se Android mobile ko root kar sakte hai:

1. Framaroot:

Ye android root ke liye sabse acha app hai.Framaroot ap ke android mobile ko kuch hi seconds me root kar deta hai. Framaroot tkriban sbhi mobiles ko root krta hai.

>>>>>Download Framaroot

2. Z4root :

Ye ek bahut useful app hai is se ap 2 method se mobile ko root kar sakte hain. Agar aap china mobile use kar rahe hai toh ye apke liye best hai. "Z4ROOt" 2 method se android mobile ko root karta hai.



a. Temproray root : Agar app temproray root karte hai toh mobile ko restart karne ke baad root khatam ho jayega.
b. Permanent root : Agar aap permanent root karte hai toh ye tb tak rahega jab tk aap apne android ka root khud se nahi unroot karenge.

3. CF ROOT :

Agar aap Samsung mobile user hai toh ye application apke liye hai,Samsung mobiles phone ko asani se Root kar sakte hai.

>>>>>>>>Download CF root

4. KingRoot :
Kingroot bahut se android device ko root kar sakta hai. Ye apke MTK phones ko perfect root karta hai.

>>>>>>>download kingroot

5. Towelroot :

Towel Root bhi root karne ka ek boht acha application hai. TowelRoot 4.4.2 kitkat android smartphones ko root karta hai. Ye one click root karta hai.

>>>>>>>download Towelroot

6. Kingoroot :

Agar apke pas computer nahi hai toh ye bhi ek acha app hai jisse mobile ko root kar sakte hai, Apko kingoroot se android mobile ko root karne ke liye Internet ki jarurat paregi. Kingoroot app ka size sirf 1.1 mb hai.

>>>>>>>Download kingoroot

7. IRoot App

IRoot ke dusra Android app hai jisme hum phone ko asani se root kar sakte hai.Agr ap ke pas PC nahi hai to ye ek best android app hai Jisye ap koi bhi mobile asani se root kar sakta hain. Hum  Tecno, Samsung, Gionee, Itel, Infinix, Sony, mercury, Lava jaise phone ko IRoot se Root Kar sakte hai.Ye One Click Root Karta hai.

>>>>>>>download IRoot

To friends kesa lga ap ko mera ye tutorial I hope ap ko acha lga ho ga.friends post ko share krna mt bholna or ager koi step krne men problem a rhi hai to ap mujh se comments kr k och skte ho. Good bye

Comments

Popular posts from this blog

WP Schema Pro v1.1.8