How to find your lost mobile 2017 method(apna khoya hua mobile kesy dhunden)


Ghar se phone chori hona, kahi bhi gir jana ya kho jana, ye bahut se logo ke sath ho raha hai. Aap kahi bahar ja rahe hai aur aapka mobile kahi gir jata hai. Ya phir aapke ghar se hi aapka smartphone chori ho gaya hai. Aap soch rahe hai ki ye kaise pata chalega ki phone kisne chori kiya hai. Abhi apka android phone kaha hai, ya phir mobile trace kesy kren,
Kuch aise tricks hai jisse apne ki exact location pata kar sakte hai. Iss article me chori ho gaye android phone ke location pata karne ka trick bataya gaya hai. Agar apko phone nahi mil raha hai to “mobile band karne ka tarika bhi bataya gaya hai“.
Khoye huye phone ke bare me pata karne ke 2 tarike hai. Pahle method me aap janenge kaise computer se lost phone track kar sakte hai. Second method me other android device smartphone location janne ka tarika sikhenge. Last me ek aur method bataya jayega jisme Google search se lost phone ka location pata kar sakte hai.

Chori Kiye Gaye Phone Ki Jankari Computer Se Pata Kare

Sabse pahle tarike me: khoye huye phone ko dhundne ke liye hum computer ka use karenge. Google android device manager se khoye huye phone ki jankari mil sakti hai. Agar aapne ye app install nahi bhi kiya hai phir bhi aap khoye phone dhund sakte hai. Step by step process jane kaise chori ho gaye phone ka pata kiya jate hai.

Step By Step Method: Chori Ho Gaye Phone Ka Location Pata Kaise Karte Hai
  1. Computer me browser open kare.
  2. Phir URL box me www.google.com/android/devicemanager open kare.
  3. Jis google account ko android phone me login kiya gaya tha. usi account se yaha bhi login kare.
  4. Jaise google account login hoga, phone ka exact location show karne lagega. (Note:- Phone ka GPS and Internet Connection ON rahna chahye.)
Iss tarah se aap phone ka exact location trace kar sakte hain. Agar phone ka GPS off hai, aur location unavailable bata raha hai to device ko RING, data delete, New password set kar sakte hai.

mobile-chori-ho-gaya-hai
Screenshot me Ring, Lock, Erase ka option hai. Agar aap ring option ka use karenge to android phone silent mode me hone ke baad ring karne lagega.
Ring Android Mobile : Device ko lock karne ke liye ya phir password change karne ke liye Lock option ka use kare. Lock option me jane ke baad new password set kar sakte hai.
ring-chori-mobile
Erase option select karne se chori ho gaye phone ko kahi se bhi format kiya ja sakta hai. Agar apka phone milna namumkin hai to Erase option ka use kare.
erase-all-data-device-of-lost-phone
Lock phone : 3 options ko use karne ke liye chori ho gaye mobile me net rahna jaruri hai. Lekin data connection off hai phir aap ye 3 option use kar sakte hai. Jisne bhi phone chori kiya hai, jab wo internet ON karega to Ring, Lock, Erase automatic ho jayega.
android-device-manager-lock
Note: Lock and Erase option ka use karne ke liye smartphone me Android Device Manager activate karna hoga. Activate karne ke liye Setting > Security > Device Administrator option me jaye. Yaha par android device manager ko activate kare.

Other Android Device Se Chori Ho Gaye Phone Ka Location Kaise Jane

Bahut se logo ke paas abhi bhi computer nahi hai. Ya phir aapka phone kahi raste me kho gaya hai aur aap ghar par wapas jana nahi chahte hai. To kisi other android mobile se bhi chori ho gaye phone ka location pata kar sakte hai.
Iske liye other android mobile me Android Device Manager install kare. Phir app ko open kare aur google account se login.
android-device-manager
Ye application website ki tarah open hoga. Aur apke lost device ka exact location batayega. Lekin chori huye mobile ka internet and GPS on hona chahye. Isme ring, lock and erase ka option bhi hai.
Aap chahe to kisi bhi mobile me google android device manager website ko open karke location trace kar sakte hai. Chahe wo phone android, iOS, symbian ya koi bhi operating system hai.

MUST READ:HOW TO CHANG MOBILE SERIAL NUMBER 2017

Google Search se chori wale phone ka location kaise jane

Chrome browser open kare. Browser me google account se login kare. Ab URL box me Find Lost Android phone type karke search kare.
find-lost-android-phone
Android mobile ka location search ke first option me show hone lagega. Agar GPS off hai to ring, recover ka option bhi use kar sakte hai.

Android Device Manager Se Related Jankari

android device manager ko use karne ke liye kuch condition hai. apka phone kho gaya hai aur aapne lock screen use nahi kiya hai, chori karne wale phone ko format bhi kar diya hai to aap kuch nahi kar sakte hai. Kyunki google account mobile se log out ho jayega.
Ager chor ne phone ko OFF  kar diya to android device manager mobile ka exact location nahi bata payega.

Comments

Popular posts from this blog

WP Schema Pro v1.1.8