How to download any website for Offline Viewing Using HTTracks 2017 method



Hello friends kesy ho ap sb,Techinfo  blog men phr se khushamdeed.
Ye post aapke liye bahut faydemand ho sakti hai kyonki is post me aap janenge ki kaise aap apni favorite website ko use kar sakte hai bo bhi bina kisi internet connection ke.Is post me men apko bataunga ki kaise aap kisi bhi perticular website ko pury ka pura download kar sakte ho jisse ap use offline access kar sake apne pc par.So is trick ka use krke ap without internet connection ke site ko access kar paoge.

Is task ko pura karne ke liye men apko aaj ek aise software ka use karna sikhaunga jiska naam hai HTTrack .Ye ek best copier software hai jo kisi bhi webiste ke pure ke pure data ko copy kar leta hai aur aapko us website ko offline use karne ka feature deta hai.

To ab is software ko kaise use kiya jaye, uske liye apko neeche diye gaye step by step process ko shi se follow karna hoga.

Follow These all Steps To Download A Website For Offline Viewing Using HTTracks:

Step:1) Sabse pehle to apko HTTrack ko download karna hoga.

>>>>>>>Download HTTrack

Step:2) Download karne ke baad isko install karna hoga ,to simply download ki gayi file par double click karke usko install kijiye ,sabse pehle iska welcome page open hokar aayega. Simply "Next" par click kar dena.

Step:3) Ab aapko project type and category ka naam choose karna hoga ,to aap yanha par koi bhi naam choose kar sakte hai jo aap chahe aur simply again "Next" par click kar dijiye.

Step:4) Ab aapko action ke front me drop down menu dikh rahi hogi,wanha select kariye "download website"

Step:5) Ab aap simply us website ka url daal dijiye jisko aap download karna chahte hai.

Step:6) Iske baad set options par click kariye aur wanha par use proxy for ftp transfers ke check box ko untik kar dijiye.Aur fir "okay" par click kar dijiye.

Step:7) iske baad "Next" par click kar dijye and fir "finish" par

Step:8) Ab aap dekhenge ki website ko download karne ki process start ho gayi hogi. Aap isko kisi bhi time cancel bhi kar sakte hai aur utne timr me jitna bhi data downoad hua hoga usko access bhi kar sakte hai.

Step:9) Ab jab process puri complete ho jaye tab aap us website ko is location par jakar padh sakte hai click on file>>click on browse file ,and yanha par aapko aapne jitni bhi website download ki hui hai wo sabhi show kar rahi hongi.

Step:10) Aap apni dowloaded websites ko direct bhi open kar sakte ho uski location hogi c drive>>my website>>offline websites>>index.html

Aapki jo favorite website hai use offline banane me ek cheez dhyan me rakhna ki jab bhi ap usko download kar rahe honge to sirf uska utna hi data download ho jayega jitna usme hoga ,matlab ho skata hai us website par 2 din baad aur bhi data aa ajayega to wo aapko update karna padega ,aap us downloaded website ko badi hi aasani se update kar sakte hai ye is software ka sabse achha feature hai,iske liye aap kya kariye ki jo aapne step  4 me download website select kiya tha wanha par update the downloaded data or update existing website data naam ke option honge unhe select karke apni downloaded website ko update kar sakte hai.

.........TO FRIENDS KESI LGI AP KO YE POST ACHI LGE TO SHARE ZROR KRIYE OR AGER KOI STEP KRNE MEN PROBLEM HO RHI H TO AP COMMENT KR K POCH SKTE HO, good bye........ 

Comments

Popular posts from this blog

WP Schema Pro v1.1.8