How to control android smartphone with face(apne android smart phone ko apne face se kesy control kren)

How to control android smartphone with face.


Aap sahi sun rahe hai. Smartphone ko insaan ke face se control kar sakte hai. Bina touch kiye huye android smartphone ko full control kar sakte hai. Android mobile ko control karne ke liye ab finger ya thumb ki zarurat nahi hai

Apka finger abhi android phone ko touch nahi kar sakta to mobile ko control kaise karenge. Suppose apke hath me mehadi lagi hui hai. Ya phir aap apka hath kisi wajah se crack ho gaya hai to mobile kaise use karenge. Simple hai, aap apne head ya face se smartphone control kar sakte hai.

How to Control Android Mobile With Face

Eva Facial Mouse app jise Vodafone(Indian company)ne develope kiya hai. Is app se android mobile ko face se control kar sakte hai.

Smartphone ko face se control karne ke liye kya requirements hai:

  • Eva Facial Mouse App
  • Front camera Smartphone
Ye app sirf front camera wale android mobile me support karta hai. Jis android phone me front camera nahi hai uske mobile ko face se control nahi kar sakte hai.

Face se android mobile control karne ka method jane.

Kaise face se android mobile control karte hai.

  • Eva facial mouse App android smartphone me download kare. Download
  • Mobile ke Settings >> Accessibility me jaye.cxontrol android mobile by face
  • Phir Eva Facial Mouse ko enable kare.
  • App ko open kare.
  • Phir face detect karke Next me jaye.
  • Face detect hone ke baad android mobile ko head se control kar sakte hai.
Friends, apne face detect kar liya hai to android mobile ko face se control kar sakte hai. Aap apne head ko jis trf move karenge mobile screen par show ho raha pointer bhi udhar move karega.
Jab aap face ko move karwana stop karenge to pointer OK button press karega. Is tarah se app kisi bhi app ko face se open kar sakte hai.
I hope, apko face se anddroid mobile control karne ka tarika pasand aya hoga.  apko ye article acha laga to social media par friends ke sath zarur share kare.or ager koi step krne men problem ho rhi ho to AP comments kr k poch skte ho .good bye

Comments

Popular posts from this blog

WP Schema Pro v1.1.8