Apni pendrive (USB) ko as a RAM use kren apne computer men
Hello dosto ajke is post me main aapke liye ek intrested trick lekar aaaya hu jiski help se aap apne computer ki RAM ko increase (Badha) sakte hai aur bo bhi bilkul asani se.Ab aap soch rahe honge aisa kaisa mumkin hai RAM to sabhi computer ke cpu me pehle se hi lagi hui aati hai usko kaise badha sakte hai ,yanha par aapka sochna sahi hai lekin aapke information ke liye bata du ki ye possible ha ki aap apni RAM ko badha sakte ho wo bhi apni usb pendrive ki help se.Aaj main is post se releted sabhi malomat dunga jisse aapki knowledge me increment hoga ,aur aap aur achhe se hacking seekh payenge ,baise to ye koi hacking nhi hai lekin main kafi dino se hacking ke hi article post kar raha tha to socha ki aaj kuchh different batatehai apne website viewers ko yaani aaapko.
Agar aap computer me thoda bahut bhi expert hai to aap ye jante hi honge ki RAM zyadtar 2gb,4gb ki lag kar aati hai cpu me ,Ab aap sochiye ki RAM kaise useful hoti hai kisi bhi computer ke liye ,maan lo aapne kafi sare software apne desktop me install kar liye hai aur aapki computer ki RAM hai 1gb ya 2gb to aise me problem ye hogi ki aapka computer hang karne lagega aur uski speed pehle se bahut zyada down ho jayegi Ab jab hume memory ki zarurat padti hai RAM me tab hum sochte hai ki kaash hum apne computer ki RAM badha pate ,to dosto aap bilkul badha payenge ,aap is blog par aisi hi tricks ko seekhne ke liye to aaye hai . To chaliye aaka time naa lete huye apna aaj ka article ka main part start karta hoon isme main aapko pura tarika samjhaunga wo bhi ek dam clear step by step me.Bas aapse request hai is website me bataye gaye sabhi steps ko sahi se achhe se padhkar follow kariye ,nhi to aapko trick sucess karne me problem aayegi.Aur ye mera daava hai aapse ki agar aap ek ek step ko sahi se follow karte jayenge to galti ka koi saval hi paida nhi hota.
Kis Kis Cheez Ki zarurat Padegi Aapko?
1.sabse pehli baat to aapko zarurat padegi ek pendrive ki minimum 2 gb
2.Thodi si computer knowledge ki
3. 5 minute ka time
4.Aur last ek computer ki ( just joking)
Pura Tarika Step By Step Computer Ki RAM Badhane Ka
jaisa ki hum jante hai agar hum RAM ko kharidne jate hai usme achhi money lag jati hai aur maan lo aapke paas itne rupay nhi hai tab kya karenge, Isi situation ko dhyan me rakhkar main neeche sabhi step provide karne ja raha hoon jisse aap free me apni RAM ka size badha sakte hai.
Step:1) Sabse pehle to aapko zarurat padegi ek pendrive ki wo bhi achhi quality ki ,agar aapke paas nhi hai to aap usko market se kharid sakte hai itna to kharch kar hi sakte hai aap.Aur ye yaad rahe ki pendrive ka size 1 GB se kam nhi ho ,baise agar aap mujhse puchhenge ki kitni size ka pendrive use kare to main to aapko yahi salah dunga ki aap agar ho sake to 4GB KI Usb pendrive ka hi use kare .
Step:2) Ab main maan kar chal raha hoon ki aapke paas achhi quality ki pendrive hogi 4GB ki ,to bas karna kya hai us pendrive ko apne laptop ya computer me lagayiye .
Step:3) Iske baad apny computer ka jo icon bana hota hai aapke desktop par us par
right click kariye aur properties
par jayiye.
Step:4) Iske baad Advanced system setting me jayiye aur fir yanha par advance ki tab khulegi aur yanha par aapko
Performance Setting bale option ke aage jo setting likha hoga us par click karna hai.
Step:5) Iske baad fir se
Advanced setting me jayiye aur fir neeche side men dekhna likha hoga Change is par click kariye.
Step:6) Jaise hi aap change par click karengi to ek new window khulegi ,isme aapko apni pendrive Select kariye .
Step:7) Jab aap pendrive select kar lenge to Iske baad aapko wanha par Custom Size ka option hoga us par click karna hai.
Step:8) Jb aap costom size par click karenge to wanha par aapko 2 box dikhenge usme aapko kitni RAM badhani hai jaise 3000 mb ya isse zyada ya kam aap wanha par daal do bas ab iske baad OK par click kar do.
Ab aapko apne system ko restart karna hoga ,jab aap apne computer ko restart karke fir se open karenge to dekhenge ki aapke computer ki RAM badh chuki hogi lekin yaad rahe ab is pendrive ko agar aapko nikalna hai to aise direct mat nikalna Nhi to pendrive kharab bhi ho sakti hai ,isko hatane ke liye aapko shuru se lekar end tak same process apply karnni hogi aur pendrive ko unselect karna hoga Tab kanhi jakar aap isko nikalna apne computer se.
Maine aapko yanha par working trick batayi hai agar aap is tricks ko sahi dhang se follow karoge to apke computer ki RAM aap asani se badhane me kamyabi haasil kar loge.Agar aapko meri ye post pasand aayi ho to please isko share karna nhi bhooliye. Good bye
bhai mynay bilkul asay hi kiya ha lakin kuch nahi hua
ReplyDeletemeri usb 8gb(kingston)ki ha
Haider bhai ap apni USB ko Chang kr k try kten or steps ko shi se follow kren.....
Delete