Android app & game ko Computer se mobile me directly kaise install karte hain.

Computer me playstore app or game par click kare aur wo directly mobile me install ho jayega. Kya pane kabhi ye trick use kiya hai. Ye bahut simple trick hai. Apko sirf mere bataye gaye kuch steps follow karne hai.

Man lijiye apka mobile kisi aur room me hai, aur apna PC use kar rahe hai. Apko koi android app pasand ho gaya hai aur app ko smartphone me install karna chahte hai to bina mobile touch kiye aisa kar sakte hai.
Ye trick use karne ke liye apko kisi bluestack jaise app ki jarurat nahi hai.

RAndroid app & game ko Computer se mobile me directly kaise install karte hai.

Requirements:
  • Computer
  • Android Mobile
  • Internet connection (Android smartphone and computer dono me)
  • Google account. Read Also: 

Google play store ke app ko computer se mobile me directly download install kaise kare

  1. Sabse pahle android mobile me internet connection ON kare.
  2. Android mobile me play store open karke gmail account se login kare.
  3. Phir computer me browser open kare. Mai apko google chrome browser use karne ke liye suggestion dunga.
  4. Computer me  Play.google.com open kare.
  5. Phir jis gmail account se mobile me login kiye the usi account play.google.com par bhi login kare.
  6. Ab jis app ko download karna hai search kare.
  7. App ki list dikhayi dega, install karne wale app ko open kare.android app ko computer se kaise install kare
  8. Ab Install option par click kare.
  9. Android mobile me application install ho jayega.
Computer se play store ka koi app android mobile me download kiya ja sakta hai. Aur apko android mobile touch karne ki bhi jarurat nahi hai. Sirf apko computer and mobile dono me internet connection enable rakhna hai. aur dono device me same gmail account bhi use karna hai.

To friends kesa lga ap ko mera ye tutorial I hope ap ko acha lga ho ga.friends post ko share krna mt bholna or ager koi step krne men problem a rhi hai to ap mujh se comments kr k och skte ho. Good bye

Comments

  1. bhai kya hum apple(IOS)mayn computer say apps ker suktayn han?

    ReplyDelete

Post a Comment

THANKS FOR COMMENTS.........

Popular posts from this blog

WP Schema Pro v1.1.8